PaidVerts

December Poetry



 December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..     
Read More
___________________________________________

Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil,

Andaaz acha hai december tere aaney ka..

____________________________________________

Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,

Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..

____________________________________________

Mujhe ab farq nahin parta, december ke beet janey ka,

Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kya matlab......
_____________________________________________

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,
Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..
____________________________________________

Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar,
Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..

____________________________________________
Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..
______________________________________________

Kabhi jo toot ke barsa December,

Laga apna, Bohat apna December,

Nahin kat’ta magar tanha december,


Tumharay wasl ka piyasa december,


Bus itna yaad hai ke tha December,


Meri tanhai aur Mera December!


Kiya december ne kaha tha mohabbat karo !!
Guzar jata hai sara saal yun to,
Bhala barish say kia sairaab hoga,
Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
____________________________________________
Kiyu har baat pe koste hain log december ko ??
_____________________________________________













                 see more
_________________________________________________________



Yaad dilaata hai sard mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sard hona..
Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
Magar Saal Kay Aakhri Din
Nihaayat Kathhin Hain..
Suno?
Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai..
Muskuraata Nahi..
December Mujhey Raas Aata Nahi..
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Us ki yaad
Kisi k dil main
Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhe usay
Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Ab Ke Jb Mai Aaon Ga
Usey Mai Sath Laon Ga
Ke Jis Ke Hijr Ka Laawa
Ke Jis Ki Yaad Ki JheeloN Mei
Ke Jis Ke Waastey Bethey
Yaahan Tum Geet Gaatey Ho!
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Lamhay Us Ne Bakhshey Han
Rooh Ka Naasoor Ban Jaaen
Inhen Marney Nahi Dena_____!!
Meri batein , teri kahani or ye December__!!
Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye December


________________________________________________

Suno?


December ki sard hawaoo


Raat Uss ne Poocha tha
Main ne Kehna Chaha Tha:
Lakin Uss ki Qurbat mein
Chandni December ki

December Mujh Se Bola Tha

Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Jo Tujh Ko Bhool Baitha Hy
Tera Tan Man Jalata Hy
Akser Doob Jatey Ho
December Mujh Se Bolaa Tha
Jo Yaadein Us Ne Sonpi Han
Chaahe Ye Zakhm Saary
Inhen Barhney Nahi Dena
_______________________________________________________
Teri yadon ki rawani or ye December
Mera hath tera sath , lambi sarak or ye December
Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye December
Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh December
_______________________________________________________

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy
Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy
Shayed ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy
Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy
Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy
Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy
___________________________________________
Koi jazba adhoora reh geya hai
December aansu’on mein beh geya hai
Najane aaj woh kya keh geya hai
Samundar mein samundar beh geya hai
Siwaye yaad k kya reh geya hai
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai
Tera Arshad akela reh geya hai

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai
Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri
Tumhare sath wabasta tha sab kuch
Palat kar dekhne per hum ne jana
Bohat bheerr hai bazaron mein lekin
___________________________________________
Kabhi Jo Toot K Barsa December
Laga Apna Bohat Apna December
Guzar Jata Hai Sara Saal Youn To
Nahin Kat’ta Magar Tanha December
Bhala Barish Say Kia Sairaab Hoga
Tumharay Wasl Ka Piyasa December
Woh Kab Bichra, Nahi Ab Yaad Lekin
Bus Ttna Yaad Hai K Tha December
Jama Poonji Yehi Hai Umar Bhar Ki
Meri Tanhai Aur Mera December
__________________________
Suno!
Tum Laut ao na!
December laut aaya hay
Tumhare laut aanay ki
Nai ummeed jaagi hay..
Mere seenay pe sar rakh kar
Haya say munh chupaaya tha
December k mahine main
Tumhain baahoun main thaama tha..
Tumhari jheel si aankhon main
Naya sapna samaaya tha
Mere chotay say aangan main
Tumhain veh’shat si hoti thi
“Kisi ki qaid main rehna
Mujhay acha nahin lagta
Main ik aazaad panchhi hoon”
September ke mahine se
Bohat khaamosh rehti ho
Wafa k naam se us ko
Bohot veh’shat si hoti thi
Kisi ki qaid main rehna
Ussay acha nahi lagta tha”
Tumhain ab yaad aati hai
December ka mahina hai
Naya aaghaaz kartay hain
Mere seenay pay sar rakh kar
Haya say munh chhupa lo tum
December laut aaya hai…


Abhi pichhlay baras tum nay
Abhi pichhlay baras hi to
Magar April aanay tak
Mujhe tum nay bataaya tha
Suna hai phir say tanha ho tum
Ke jis ko tum ne chaaha tha
“Woh ik aazaad panchhi tha..
Suna hai mairay aangan ki
Suna hai tum pa’shaymaan ho !
Chalo phir aisa karte hain
Tumhain baahoun main lay loon main
Suno ab laut aao tum….!!!!
_________________________________________
Wo Jis’se Barish Pasand Na Thi !
Na Jane Kiyon..
Aaj Deir Tak Tanha
December Ki Barish Main..
Bheegta Raha…
_______________________________________
Kuch Lamhe November Ke,
Hum Ne Yun Guzare Hain,
Tasveer Mein Utare Hain,
Dag-magati Dharkan Se,
Bus Dua Ye Mangi Hai,
Jab Bhi Badal Utaren Toh,
Nafraton Ki Barish Mein,
Bus Esi Guzarish Mein,
Ikhtiyar Mil Jaye,
Apna Pyar Mil Jaye..!!

Mosam Un Ki Yaadon ke,
Kap-kapate Honton Se,
Hum Ne Apne “KHALIQ” Se,
Ab Ke Bar Sawan Mein,
Bus Yehi Tamnna Hai,
Dushmano Ki Sazish Mein,
Zindgi Ko Jeeny Ka,
Ae Mere “KHUDA” Sab Ko,
_______________________________________

Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey mausam se kya lena..


_________________________________________

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga..

_________________________________________